Posts

Showing posts with the label AMJAD ISLAM AMJAD

Ojhal sahi nigah se, dooba nahi huN maiN

Ojhal sahi nigah se, dooba nahi huN maiN Ae raat khabar-dar K hara nahi huN maiN Darpesh subh-o-sham yehi kashmakash hai ab Uska banuN maiN kaise K apna nahi huN maiN Mujh ko farishta hone ka daawa nhi magar Jitna bura samjhte ho utna nahi huN maiN Is tarah pher pher k baateiN na keejiye Lehje ka rukh samajhta hu bacha nahi huN maiN Mumkin nahi hai mujh se ye tarz-e-munafqat Dunya tere mizaj ka bandaa nahi huN maiN