Dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildaari par
Dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildaari par Dekh! ab woh bhi utar aayaa adaakaari par MaiN ne dushman ko jagayaa to bahut tha lekin Ehtejaajan nahiN jaaga meri bedaari par!! Aadmi aadmi ko khyaaye chala jaataa hai Kuchh to tahqeeq karo is nayi beemari par Kabhi is jurm pe sar kaaT diye jaate the Ab to in’aam diya jata hai Ghaddaari par Teri qurbat ka nasha TooT raha hai mujh mein Is qadar sahl na ho tu meri dushwaari par Mujh mein yuN taaza mulaqat ke mausam jaage Aayiina haNsne lagaa hai meri taiyyari par Koi dekhe bhare baazaar ki veerani ko Kuch na kuch muft hai har shai ki kharidari par Bus yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do Log utar aaye hain zaalim ki tarafdaari par