Posts

farhat abbas shah

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho “Ik Baar Kaho Tum Mere Ho” Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ? Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki Tum Mere Rain Basairay Ho Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka Tum Daaku Chor Lutairay Ho Kuch Bolo Ya Aazaad Karo Kiun Khamooshi Se Ghairay Ho ?

farhat abbas shah

Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ? Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein Toot Jaonga, Bikhar Jaonga Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun Apni Awaaz Se Dar Jaonga Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas” Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga

farhat abbas shah

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana, Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana, Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan, Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana, Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain, Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana, Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi, Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana, Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar, Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana..

Abid Ali Abid

akhiri Tis azamane ko ji to chaha tha muskurane ko yad itni bhi sakht jan to nahin ik gharaunda raha hai dahane ko sangrezon main dhal gaye ansu log hansate rahe dikhane ko zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai ik diya rah gaya jalane ko jalane vale to jal bujhe akhir kaun deta Khabar zamane ko kitne majbur ho gaye honge ankahi bat munh pe lane ko khul ke hansana to sab ko ata hai log tarasate rahe ik bahane ko reza reza bikhar gaya insan dil ki viraniyan jatane ko hasraton ki panahgahon main kya thikane hain sar chhupane ko hath kanTon se kar liye zakhmi phul balon main ik sajane ko as ki bat ho ki sans ?Ada? ye Khilaune hain tuT jane ko

Abid Ali Abid

dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain mujh se ankhain na lara aaj kii raat mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa ?Abid? jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj kii raat

Abid Ali Abid

dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat
Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai Dil per paani peeney ati hain umeedien Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao Esa zakham to dil per khaya jasakta hai Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish Is mein apna aap chupaya jasakta ha