Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya

Comments