Daayem paRaa hua tere dar par nahi huN maiN
Daayem paRaa hua tere dar par nahi huN maiN
khak aisi zindagi pe K pat-thar nahi huN maiN
Kyun gardish-E-mudam se ghabra na jaye dil
Insan huN! pyala-O-saghar nahi huN maiN
Yarab zamana mujh ko miTata hai kis liye
Lauh-E-jahan pe harf-E-mukarrar nahi huN maiN
Had chahiye saza mein uqoobat k waaste
Akhir gunaahgar hun, kafir nahi huN maiN
Kis waaste azeez nahiN jaante mujhe
Lal-O-zumurrud-O-zar-O-gauhar nahi huN maiN
Rakhte ho tum qadam meri ankhoN se kyun daregh
Rutbe mein mahr-O-mah se kamtar nahi huN maiN
Karte ho mujhko man’a-E-qadambos kis liye
Kya asman k bhi barabar nahi huN maiN
‘Ghalib’ wazifakhwar ho, do shaah ko dua
Wo din gaye K kahte the naukar nahi huN maiN
(Mirza Ghalib)
Comments
Post a Comment