Paida rah-e-Khulos mein dushwariyan na Kar...! Chahat nahi to hum se Ada-Kaariyan na Kar..! Lafzon se Khelnay Ki zarort nahi tujhe, Saada Dilon K sath ye fankariyan na Kar.. Jin se nahi lagao unhein munh bhi na laga, Be-wajha har dukaan se Khridariyan na Kar..... Tu shakh-e-Gul hai Koi amr-bail to nahi, Wabasta har shajar se wafadriyan na Kar..... Taaza hai Dil Pe dagh agr Pehli mohabbat Ka, Phir dusri shekast Ki tayariyan na Kr.

Comments