Posts

Showing posts from October 21, 2013

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte haiN (chashm-e-naazuk : delicate eyes; gaahak : customer) sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaGhaf so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte haiN (shaGhaf : interest; mojaze : miracles) sunaa hai bole to baatoN se phuul jhhaRte haiN ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN sunaa hai raat use chaaNd taktaa rahtaa hai sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte haiN (baam-e-falak : terrace of the horizon) sunaa hai hashr haiN us kii Gazaal sii aaNkheN sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiN sunaa hai din ko use titaliyaaN sataatii haiN sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte haiN sunaa hai raat se baRh kar haiN kaakuleN us kii sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte haiN (kaakul : tresses) sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai so us ko surmaafarosh aah bhar ke dekhte haiN (surmaafarosh : kohl vendors) sunaa hai us ke laboN se gulaab jalte haiN so ham bahaar pa