Posts

Showing posts from March 22, 2014
Ahmad Faraz Poetry Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa aa phir e mjhy chor k jany k liye aa pehly se marasim na sahi phir b kabi to rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden ye aakhri shammen b bujhany k liye aa
Ahmad Faraz Poetry Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz Urney do in parindon ko azaad fizaon mein Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz
Dukh fasana nahi k tujh se kahain Dil bhi mana nahi k tujh se kahain, Ek tu harf aashna tha magar Ab zamana nahi k tujh se kahain, Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost Aab o daanaa nahi k tujh se kahain Be tarah haal e dil hai aur tujh se Dostana nahi k tujh se kahain Qasidaa hum faqeer logon ka Ek thikana nahi k tujh se kahain Ab to barson se us gali men FaRAZ Aana jaana nahi k tujh se kahain
Ahmad Faraz Poetry Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay, Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay, Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind, Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay, Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k, Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay, Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay, K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay, Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz, Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!
Ahmad Faraz Poetry Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani `Faraz` tujh ko na aain muhabbaten karani Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen Tamaam umr usi ki ibaadaten karani Sab apane apanee qarine se muntazir us ke Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain Hamin ko raas na aain muhabbaten karani Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!!
Ahmad Faraz Poetry Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
Ahmad Faraz Poetry Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale Ab vahi log hamain abalapa kahte hain Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’ Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Ahmad Faraz Poetry Tu Meraa Pehla Piyar Sajan Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan, Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan, Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan, Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan, Soorat Teri Bholi Bhaali Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan, Dil Ki Baaten Tum Se Karna Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan, Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan, Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar Main Zakhmi Main Lachaar Sajan, Na Tum Se Jis Din Baat Kare Dil Rehta Hai Bezaar Sajan, Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan, Tum Bhi Maano Ek Baat Meri Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.
Ahmad Faraz Poetry Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi, Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi…. Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski, K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi…. Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha, Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi.. Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ” Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…
Ahmad Faraz Poetry Ankh se door na ho dil se utar jaye ga waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga dobtay dobtay kashti ko uchaala day don mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz” zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!
Ahmad Faraz Poetry Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte
Ahmad Faraz Poetry Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat, Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat, Miley to toot roye na khul ke batain keen, Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat, Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke, Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat, Dareeda peerhano ka khayal kya ata, Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat, Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha, Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat. (Chor:Something Fishy)(Tark-e-Taluq:Boycott)(Moortain:Idols)(Ikhtlaaf:Not Agreeing)
Ahmad Faraz Poetry Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu, kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu, Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se, Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu, Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu, Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu, Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,? ‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai  Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain  Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai  Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain  Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula  Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain  In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?  Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain  Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,  Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain  Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai  Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain  Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere  Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
Ahmad Faraz Poetry Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay
Ahmad Faraz Poetry Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana, Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana, Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein, Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana, Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila, Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana, Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher, Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana
Ahmad Faraz Poetry Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz” Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay
Ahmad Faraz Poetry Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer “Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe
Ahmad Faraz Poetry Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha, Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha, Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai, Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha, Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai, Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha, Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha, Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha, Ab agley zamaney ke milain log to poochain, Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha, Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha, Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha.. (rag-o-pey;inside the soul, taaqub;chase, anjuman-e-araa;happy)
Ahmad Faraz Poetry Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ? TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz” Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere
Ahmad Faraz Poetry Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ? Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ? Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ? Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ? Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ? Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz” Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?
Ahmad Faraz Poetry Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz” Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
Ahmad Faraz Poetry Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath
Ahmad Faraz Poetry Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ? Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ? Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ? Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki
Ahmad Faraz Poetry “Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi “Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz Poetry Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia “Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain

Ahmad Faraz Poetry  Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain , Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain, Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,  Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,  Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho , Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,  Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata, Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain, Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein, Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,  Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,  Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,  Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi, Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,  Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,  Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,  Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,  Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain, Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,  Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…
Faiz Ahmad Faiz Poetry aiye hath uthayen ham bhi ham jinhen rasm-e-dua yad nahin ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa koi but, koi khuda yad nahin aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin unki raton main koi shama munawwar kar de jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin unki nazron pe koi rah ujagar kar de jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se aj iqrar karen aur tapish mit jaye harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah aj izhar karen or khalish mit jaye
Faiz Ahmad Faiz Poetry Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain
Faiz Ahmad Faiz Poetry Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab Apne zimey hain tera farz najaney kab se Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz Poetry Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab Apne zimey hain tera farz najaney kab se Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz Poetry Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz Poetry Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ? Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ? Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad Un Se Jo Kehnay Gaye Thay “Faiz” Jaan Sadqa Kye An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz Poetry Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj ‘Faiz’ Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz Poetry Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge? Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge? Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana…… Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena……!

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz Poetry Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge

Faiz Ahmad Faiz

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia Faiz Ahmad Faiz Poetry Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ? Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia “Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia

Faiz Ahmad Faiz

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz” Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay

Mir taqi Mir

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq, Jaan ka rog hai, bala hai ishq. Ishq hi ishq hai jahaan dekho, Saare aalam mein bhar raha hai ishq. Ishq maashuq ishq aashiq hai, Yaani apna hi mubtala hai ishq. Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen, Kahin banda kahin Khuda hai ishq. Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha, Aarzoo ishq wa mudda hai ishq. Koi khwaahan nahin mahabbat ka, Tu kahe jins-e-narawa hai ishq. Mir ji zarad hote jaate hain, Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq..

Mir taqi Mir

Meer Taqi Meer poetry a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan is butkade mein mani ka kis se karen sawal adam nahin surat-e-adam bahur hai yan ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan mere hilak karne ka gam hai abas tumhen tum shad zindagani karo gam bahut hai yan shayad ke kam subh tak apana khinchena ?Mir? ahawal aj sham se darham bahut hai yan

Khwaja Mir Dard Poetry agar yon hi ye dil satata rahega to ik din mera ji hi jata rahega main jata hun dil ko tere pas chore meri yad tujhko dilata rahega gali se teri dil ko le to chala hun main pahunchunga jab tak ye ata rahega qafas main koi tum se ai ham-safiron khabar kal ki hamko sunata rahega khafa ho k ai ?Dard? mar to chala tu kahan tak gam apna chupata rahega

Mir taqi mir

agar yon hi ye dil satata raheg a to ik din mera ji hi jata rahega main jata hun dil ko tere pas chor e meri yad tujhko dilata rahega gali se teri dil ko le to chala hun main pahunchunga jab tak ye ata rahe ga qafas main koi tum se ai ham-safiron khabar kal ki hamko sunata rahega khafa ho k ai ?Dard? mar to chal a tu kahan tak gam apna chupata rahega

Mir taqi mir

Khwaja Mir Dard Poetry agar yon hi ye dil satata rahega to ik din mera ji hi jata rahega main jata hun dil ko tere pas chore meri yad tujhko dilata rahega gali se teri dil ko le to chala hun main pahunchunga jab tak ye ata rahega qafas main koi tum se ai ham-safiron khabar kal ki hamko sunata rahega khafa ho k ai ?Dard? mar to chala tu kahan tak gam apna chupata rahega

Mir dard

.