Posts

Showing posts from March 26, 2014

farhat abbas shah

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho “Ik Baar Kaho Tum Mere Ho” Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ? Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki Tum Mere Rain Basairay Ho Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka Tum Daaku Chor Lutairay Ho Kuch Bolo Ya Aazaad Karo Kiun Khamooshi Se Ghairay Ho ?

farhat abbas shah

Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ? Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein Toot Jaonga, Bikhar Jaonga Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun Apni Awaaz Se Dar Jaonga Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas” Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga

farhat abbas shah

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana, Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana, Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan, Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana, Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain, Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana, Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi, Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana, Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar, Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana..

Abid Ali Abid

akhiri Tis azamane ko ji to chaha tha muskurane ko yad itni bhi sakht jan to nahin ik gharaunda raha hai dahane ko sangrezon main dhal gaye ansu log hansate rahe dikhane ko zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai ik diya rah gaya jalane ko jalane vale to jal bujhe akhir kaun deta Khabar zamane ko kitne majbur ho gaye honge ankahi bat munh pe lane ko khul ke hansana to sab ko ata hai log tarasate rahe ik bahane ko reza reza bikhar gaya insan dil ki viraniyan jatane ko hasraton ki panahgahon main kya thikane hain sar chhupane ko hath kanTon se kar liye zakhmi phul balon main ik sajane ko as ki bat ho ki sans ?Ada? ye Khilaune hain tuT jane ko

Abid Ali Abid

dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain mujh se ankhain na lara aaj kii raat mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa ?Abid? jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj kii raat

Abid Ali Abid

dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat
Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai Dil per paani peeney ati hain umeedien Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao Esa zakham to dil per khaya jasakta hai Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish Is mein apna aap chupaya jasakta ha

Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat lekin is se kam chaleya ja sakta hai Dil par pani piny ati hain umeeden is chashmy main zeher milaya ja sakta hai mujh benam se pujhty hain Farhad-o-Majnoo ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai phatta puran khwab hai mera phir bhi Tabish is main apna aap chupaya ja sakta hai
Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai, Aap aate hain rulate hain chale jate hain, Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne, Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain, Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan, Aap to aag lagate hain chale jate hain, Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya, Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain.. Abbas Tabish
Naya ek rishta paida kyun karein hum Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri Koi humgama barpa kyon karain hum Ye kafi hai k hum dushman nahi hain Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa? Par ab iss baab ko waa kyon karain hum Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum Hamari hee tamanna kyon karo tum Tumhari hee tamanna kyon karain hum Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay To saari umar iifa kyon karain hum Nahi dunya ko jab parwah hamari To phir dunya ki parwah kyon karain hum Barehna hain sar.E.Bazaar to kia Bhala andhon se pardah kyon karain hum Hain baashinday issi basti k hum bhi So khud par bhi bharosa kyon karain hum Pari rehnay do insaanon ki laashain Zameen ka bojh halka kyon karain hum Ye basti hai muslamaanon ki basti Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum (Hungama Barpa:Make Noise)(Dawa:Claim)(Ehad:Commitment)(Sar-e-

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho Ke Rooth’tay Ho Kubhi Aur Manaanay Lagtay Ho Gila Tou Ye Hai Ke TUM Aatay Nahee Kubhi Laikin Jub Aatay Bhee Hou Tou Foran Hee Jaanay Lagtay Ho Ye Baat Jhon Tumhari Mazaaq Hai Ke Nahi ? Ke Jo Bhee Ho Ose Tum Aazmaanay Lagtay Ho Tumhaari Shaayari Kia Hai Bhala, Bhala Kia Hai ? Tum Apne Dil Ki Udaasi Ko Gaanay Lagtay Ho Sarwad-e-Aatish-e-Zarreen Sehen-e-Khaamooshi Wo Daagh Hai Jisay Har Shab Jalaanay Lagtay Ho Suna Hai Kehkashaanon Mein Roz-o-Shab Hee Nahee Tou Phir Tum Apni Zabaan Kiun Jalaanay Lagtay Ho ?
Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal Aik viiraan haal chhor gayaa Zaala-baarii ke marhalon kaa safar Qaafile, paayemaal chhor gayaa Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa Main bhii ab khud se huun javaab-talab Vo mujhe be-savaal chhor gayaa (maskan:abode)(maah-o-saal:months and years)(taazah-dam:fresh)(jism-o-jaan:body and soul)(furqat:separation)(vasl:meeting)(nidhaal:exhausted)(ahd-e-maazii:time of past)(purhaal:eventful)(ahd-e-maazii:time of past)(purhaal:eventful)(zaala-baarii:hailstorm)(marhale:stages)(paayemaal:devastated)
Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe Rung GIraata Raha Hun Mein Apna Misaalya Mujhe Ab Tak Na Mil Saka Zarron Ko Aaftaab Banaata Raha Hun Mein Kia Mil Gaya Zameer Hunar Baich Kar ? Itna Ke Sirf Kaam Chalaata Raha Hun Mein Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili Rahee Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata Raha Hun Mein
Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ???? Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad

Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ? Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta
ab to kuch aur bhi andhera hai ye meri rat ka sawera hai rahzanon se to bhag nikla tha ab mujhe rahbaron ne ghera hai age age chalo tabar walo abhi jangal bahut ghanera hai qafila kis ki pairawi mein chale kaun sab se bara lutera hai so raho ab ?Hafeez?ji tum bhi ye nai zindagi ka dera hai

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye
Apni dhun mein rehta hoon Mein bhi tere jesa hoon Oo pichli rut ke sathi Mein bhi tere jesa hoon Teri gali mein sara din Dukh ke kankar chunta hoon Mera diya jalaye kon Mein tera khali kamra hoon Tu jeevan ki bhari gali Mein jungle ka tanha rasta hoon Aati rut mujhe roye gi Jaati rut ka jhonka hoon
Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain Jo zakhm dil ko miley woh bharte jate hain Tere bagher woh din bhi guzar gaye akhir Tere bagher yeh din bhi guzarte jate hain Liye chalo mujhe darya-e-shauk ki maujo Ke hamsafar tou mere paar utarte jate hain Tamaam umar jahan hanste khelte guzaari Ab us gali mein bhi hum darte darte jate hain
Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate (Miaad:Duration)(Mojezah:Something Unthinkable)(Afsurda:Sad)(Sarshaar:Alone)
Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi Loog Rukhsat Huye Kab Yaad Nahi Awwaleen Qurb Ki Sarshaari Mein Kitnay Armaan Thay Jawaab Yaad Nahi Dil Main Har Waqt Chubhan Rehti Thi Thi Mujhe Kis Ki Talab Yaad Nahi Wo Sitaara Thi K Shabnam Thi k Phool Ik Soorat Thi Ajab Yaad Nahi Kaisi Veeraan Hai Guzargaah-e-Khayaal Jub Se Wo Aariz-o-Lab Yaad Nahi Bhooltay Jaatay Hain Maazi Ke Dayaar Yaad Aayein Bhi TOu Sub Yaad Nahi Aisa Uljha Hun Gham-e-Duniya Main Ek Bhi Khwaab-e-Tarb Yaad Nahi Rishta-e-Jaan Tha Kubhi Jis Ka Khayaal Oski Soorat Bhi Tou Ab Yaad Nahi Ye Haqiqat Hai K Ehbaab Ko Ham Yaad Hee Kab Thay Jo Ab Yaad Nahi Yaad Hai Sair-e-Charaaghan “Nasir” Dil k Bujhne Ka Sabab Yaad Nahi
Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya Din Guzra Tha Bari Mushkil Se Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya Phir Loog Nazar Se Guzre Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya Baith Kar Saaya-e-Gul Main ‘Nasir’ Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya
Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhor Gayi Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhor Gayi Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhor Gayi Kahan Se Laa’ye Ab Os Nigaah Ko Nasir ? Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhor Gayi
Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi Yaad Aati Hai Door Ki Baatain Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi
Ay Dil Kise Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi Dil Ko Kahan Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi Josh-e-Junoon Main Dard Ki Tugyaniyon K Saath Ashkon Main Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi Tere Qareeb Reh k Bhi Dil Mutmayin Na Tha Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi Kuch apna Hosh Tha Na Tumhara Khayaal Tha Yun Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi Ay Dost Ham Ne Tark-e-Muhabbat Ke Bawajood Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi
Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir” Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi
Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin Is Qadar Door Kahan Tha Phele Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir” Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad