Faiz Ahmad Faiz Poetry aiye hath uthayen ham bhi ham jinhen rasm-e-dua yad nahin ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa koi but, koi khuda yad nahin aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin unki raton main koi shama munawwar kar de jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin unki nazron pe koi rah ujagar kar de jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se aj iqrar karen aur tapish mit jaye harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah aj izhar karen or khalish mit jaye

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے