Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir” Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے