Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai Dil per paani peeney ati hain umeedien Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao Esa zakham to dil per khaya jasakta hai Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish Is mein apna aap chupaya jasakta ha

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے