Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi Loog Rukhsat Huye Kab Yaad Nahi Awwaleen Qurb Ki Sarshaari Mein Kitnay Armaan Thay Jawaab Yaad Nahi Dil Main Har Waqt Chubhan Rehti Thi Thi Mujhe Kis Ki Talab Yaad Nahi Wo Sitaara Thi K Shabnam Thi k Phool Ik Soorat Thi Ajab Yaad Nahi Kaisi Veeraan Hai Guzargaah-e-Khayaal Jub Se Wo Aariz-o-Lab Yaad Nahi Bhooltay Jaatay Hain Maazi Ke Dayaar Yaad Aayein Bhi TOu Sub Yaad Nahi Aisa Uljha Hun Gham-e-Duniya Main Ek Bhi Khwaab-e-Tarb Yaad Nahi Rishta-e-Jaan Tha Kubhi Jis Ka Khayaal Oski Soorat Bhi Tou Ab Yaad Nahi Ye Haqiqat Hai K Ehbaab Ko Ham Yaad Hee Kab Thay Jo Ab Yaad Nahi Yaad Hai Sair-e-Charaaghan “Nasir” Dil k Bujhne Ka Sabab Yaad Nahi

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے