naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے