Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate (Miaad:Duration)(Mojezah:Something Unthinkable)(Afsurda:Sad)(Sarshaar:Alone)

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے