Naya ek rishta paida kyun karein hum Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri Koi humgama barpa kyon karain hum Ye kafi hai k hum dushman nahi hain Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa? Par ab iss baab ko waa kyon karain hum Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum Hamari hee tamanna kyon karo tum Tumhari hee tamanna kyon karain hum Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay To saari umar iifa kyon karain hum Nahi dunya ko jab parwah hamari To phir dunya ki parwah kyon karain hum Barehna hain sar.E.Bazaar to kia Bhala andhon se pardah kyon karain hum Hain baashinday issi basti k hum bhi So khud par bhi bharosa kyon karain hum Pari rehnay do insaanon ki laashain Zameen ka bojh halka kyon karain hum Ye basti hai muslamaanon ki basti Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum (Hungama Barpa:Make Noise)(Dawa:Claim)(Ehad:Commitment)(Sar-e-Bazaar:Loud And Clear, In Public)(Baashinday:Humans)

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے