Khud se bohat khafa hoon mein, khud se bohat juda tha mein

Khud se bohat khafa hoon mein, khud se bohat juda tha mein 
Dekha nahin ke kya hoon mein, socha nahin ke kya tha mein
 Toot geya bikhar gaya, apne liye tou mar geya hoon mein 
Teri taraf tha gaamzan, khud se katta howa tha mein 
Kijiye mulahiza zara, daftar maah-o-saal dil
 Mera aseer tha yeh dil, is mein parra howa tha mein
 Yaad na asakon tou bol, Zang para dareecha khol
 Teri gali mein kon tha, Tere labon per kya tha mein 
Dekha gali mein kon hai, koi nahin hai, aahatein Sunta hoon
 chand saal pehle khud se bichar gaya tha mein 
Shikwa karoon to kya karon, Ranj karon tou kiska
 Kon samajh saka mujhe, Kis ko smajh saka tha mein
 Tu bhi khabar ki leher mein behta chala geya naveed
 Tere liye tou theek tha mein, Apne liye bura tha mein

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے