Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayaan rakha hai



Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayaan rakha hai

Hawa kay waastay hum nay Dar-e-imkaan rakha hai 

Saja saktay thay yadoon kay kai chehray kai pekar

Magar kuch soch kar hum ne yeh ghar veeraan rakha hai

Humen shoq-e-azziyat hai wagarna is zamanay main

Teri yaden bhulaanay ko bohat saamaan rakha hai

Teri jholi main laa daalengay qarzay is muhabat kay

Kay hum shoreeda’e sar hain, kab koi ehsaan rakha hai

Tumhen ye maan-na hoga kay hum ne apnay lab see kar 

sakoot-e-shab ki muthi main koi toofaan rakha hai 

Jo ho yaaro behar surat charaghon ko jalana hai

Hawaen kitni barham hain, ye hum ne jaan rakha hai

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے