Bohat gumaan tha mausam shanas honey ka



Bohat gumaan tha mausam shanas honey ka
Wohi bahana bana hai udaas honey ka
Badan ko garh liya zakham ke gulabon se 
Tu shok pura kar khush libas honey ka 
Fiza mehkne lage roshni jhalakne lage 
To yeh nishan hai tere aas pass honey ka
Gulon ke beech woh chehra khila, 
to har titli Tamasha karne lagi, bad hawas honey ka
Usy bhi shok tha bewajah dil dukhaney ka
So hum ne khel rachaya udaas honey ka
Naye safar pe rawana tou hum bhi ho
jate Bas intizar tha mausam ke raas hone ka

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے