gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha



gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha

pani mein chand , chand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sanbhal k leta hai tera nam yeh dil

k jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abar b they banjh zameen se darey huaye

kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha

kehney ko dhoondtey they sabhie apne khad o khaal

warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka th

a woh ihtiyaat e jaan thi k be rabti e khayal

saye pe b guman muje admi ka tha

mushkil kahan they tarak e mohabbat k marhalay

aye dil magar saval teri zindagi ka tha

woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi Mohsin

woh shakhs b mera dushman kabi ka tha

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے