Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai Lekin in donon mulkon mein Amrika dera hai Aid ki gandam kha kar ham ne kitney dhokey khai hain Poochh na hamne Amrika ke kitne naaz uthai hain Phir bhi ab tak wadi-e gul ko sangeenon ne ghera hai Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai Khan Bahadur chhodna hoga ab to saath Angrezon ka Ta bah gareban aa pahuncha hai phir se hath Angrezon ka Macmilan tera na hua to Kenedy kab tera hai Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai Yeh dharti hai asal mein, pyare, mazdooron dahqanon ki Is dharti par chal na sakegi marzi chand gharanon ki Zulm ki rat rahegi kab tak ab nazdik savera hai Hindustan bhi mera hai aur Pakistan bhi mera hai ‪#‎ TRANSLation‬Hindustan belongs to me and Pakistan belongs to me Both of these, however, are under American hegemony American aid gave us wheat, as also their deceit Do not ask me how long we’ve suffered their conceit And yet the bayonets are all around this flowering valley Hindustan belongs to me and Pakistan belongs to me Khan Bahadur, do not follow the English, from them better keep away Once again they are holding you by the collar, you are still their prey Macmillan was never thine, Kennedy can never be Hindustan belongs to me and Pakistan belongs to me This land in fact, my dear, belongs to peasants and workers Here will not run the writ of a few clannish marauders The dawn of freedom is heralding the end of tyranny Hindustan belongs to me and Pakistan belongs to me.

Comments

Popular posts from this blog

اک پیار کا نغمہ ھے ، موجوں کی روانی ھے

" جے رب ملدا نہاتیاں دھوتیاں

مائیں نی مائیں میرے گیتاں دے نیناں وچ ـــــ برہوں دی رڈک پوے